Friday, January 25, 2013

Sheesha

Yeh duniya ek ruhani sheesha hai
Eshe tumhare hi khawabon aur khayalon ne seencha hai
Yeh Tumhare hi karmon ka nateeja hai
Janm na hua mahavatar aisa
Chuda sake ense jo tumhara peecha
Maafi milti nahin yahan pe
Zakham bharte nahin kisi ke
Marna chaho bhi agar
Maut bhi gale lagati nahin
Darr main jeete log yahan
Parivar hai jhute yahan
Chakravyu na ye khatam hoga
Es duniya ka dard
Kabhi na kam hoga...